Sayah andheery ! 

Kabhi kabhi me sochti hon roshniyo sy ziada ye andhery wafadaar hoty hy nahi ?kon jany ye siyah kali raty kitny toty dilon ki aah sameety khamosh chadar orhy so rhi ha ? Kitni hi Faryado ko jazb kye chup sadhy hoye hy ? Kitny hi khmoosh ansoo ko chupaye be awaaz bethi deekh rhi ha ?ye kali raty bhi kitni dilchasp hoti hy .. Kitni anokhi … kamal ki raazdar !

Ankho k aggy geely pani ki jab dhoondh chany lgy tu ham ese hi kisi andhery ki traf bhagty hy jo hamary sary gham apny andar samoota jaye .. aur phr jab esa koi saya milta ha tab insan tot-ta ha bikharta ha apny sary gham is namkeen pani ki soorat baha deta ha jiska chemical formula tu mujood ha par lakh shukar koi emotional formula nahi .. warna najany kitny bheed khul jaty… kitny bharaam toot jaty ! … par insaan phr bhi kitna bewafa ha na .. apny kandho ka bojh utarny ka baad apny tukreey sameet-ta hoa sary bojh sary farz is andheery k hawaly kr jata ha !

Andheery ki khubsorti ko chand hi log samajhty hy aur yaqeen janye .. ese log bht haseen hoty hy .. ye andhery insan ko toor kr osky zahiro batin ko dho dalty hy.. shayad isi lye gulaafy kabah ka rang bhi sayah ha .. me is muqadas gulaaf k rang ki hikmat ko samajhny k layaq tu Nahi magar meri zehni qoovat najany kyun har dafa isy dekhny k bad is bat ki gavahi deti ha k sayah samoony vala rang .. sab jazb krny vala .. sab rango ko apny hisaar me leny vala .. jesy mera vo pakeeza rab ha apny sab nafarmaan bando ko qabool krny vala maaf krny vala ! 


2 thoughts on “Sayah andheery ! ”

Leave a comment